aakhir kitna

Meri Manovyatha~~
Dekho bhai, simple si baat hai is dunia me itne log hai itne fields hai itni cheeze hai, toh aakhir tum kitno se compete kar loge ? Aur sawaal khatm nhi hua abhi, kitno se, kab tak aur akhir kis liye... Kya ye sab permanent hai haan mana ki permanent kuch bhi nahi hai par fir bhi life me kitna kar le koi insaaan... Kitna hi kar le sukh usse tab hi milega jab wo compete karna chhod ke jeena start karega har wakt ek invisible si race me nahi bhaag rha hoga, ek limit decided hoti hai ya karte karte apne aap hi wo limit us individual ko pata chal jaati hai ki bhaiya humara inte me achhe se guzar basar ho jaa raha hai, ek life partner hai jeevan me toh atleast 100 ladkio ko to chase nahi kar rhe ho, ek definite career path hai toh atleast 100 jagah toh nahi apply karke baithe ho... Han ghumo khao fit bhi raho par guru jeevan jio aage badho ekdam se hi sab wo jo chaahte ho wo nhi mil jayega... Arre bade bade log kitna kuch achieve karke kaha se kaha gir jaate hai dhang ki mental state tak nahi bachti unke paas ... Isliye apne aap pe, apne jeevan pe, apne ek baseline career pe aur ek achhi jeevan saathi chunne me focus Karo Naa ki idhar udhar mooh maaarne me, kyuki guru ab samay aa chuka hai practically kaam kiya jaye ye self help books wooks sab ab bakwas lagti hai mujhe bhi ki kya re chutiye avchhi kahani nahi soch saka to apne jeevan ya as pas ki bakchodi ko concept ke naam pe paros dia ... Isliye practically jivan jio aur ye sab jo hai ispe build karo, bade cool ass dope ass chutiye milenge ho sakta hai mai bhi unme se ek hu par ultimately simplicity ko apnao life me aage badho jo log neecha dikaye root level pe unhe jadd se ukhaar pheko apni life se ye saale manipulate karte hai aur kuchh nahi